Hindi Ghazal SMS Messages Collection

Advertisement

Hindi Ghazal SMS

Apna banane ki ijazat dedo

Dil mein basane ki khud ko iski ijazat dedo,
Mujhko tum apna banane ki ijazat dedo.

Tum meri zindagi ki ek haseen lamha ho,
Phoolon se khud ko sajanay ki ijazat dedo.

Main kitna chahta hoon kiss tarha bataoon tumhe,
Mujhe yeh aaj batane ki ijazat dedo,

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chehra,
Mujhe yeh sham sajane ki ijazat dedo.

Mujhe qaid kar lo apne ishq mein,
Yeh jaan tum pe lootane ki ijazat dedo.

Aaj bhi hai…

Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq toh zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar satata tha uss hijar ka pehra aaj bhi hai

Tum door hue majboori mein hum toot gaye iss doori mein
Kabhi waqt mile toh aa jana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai

Woh sahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde sahil par
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai

Tum khush rehna dil ki duniya apni toh chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi tha aur gham ka maara aaj bhi hai

Yeh ashk nahi hai aankhon mein yeh taare jhilmil karte hai
In aankhon mein jo kal tak tha woh chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha tha mila
Gham kal bhi mera sarmaya tha gham mera warsa aaj bhi hai

Tum kitna bhi chaho

Yeh pal pal ka chalna,
Fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho,
Tumhe woh kal na milega!
Yeh koi gaata hai,
Ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho,
Tumhe alag khuda na milega!
Yeh guzarti hui raat hai,
Ya nikalti hui sehar,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe humsafar na milega!
Yeh Baarish ki boondein hai,
Ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho,
Inhe thamne wala na milega!
Yeh dil ke tukde hai,
Ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho,
Tumhe marham na milega!
Yeh dil mein armaan hai,
Ya sulagte hue sholey,
Tum kitna bhi chaho,
Tumhe sehra mein paani na milega!
Yeh kaisi uljhan ban gayi hai,
Dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho,
Tumhe sukoon na milega!


Advertisement

“Apna Khayal Rakhna”

Meri Khushi Ki Khatir Khud Ko Sanbhaal Rakhna,
Us Ne Kaha Tha Mujh Se
“Apna Khayal Rakhna”,
Ye Bhi Kaha Tha Us Ne
”Har Khwab Aarzi Hay”,
Tum Bhi Zehan Mein Apne Hurf-E-Zawaal Rakhna,
Wo Keh Raha Tha Shayed
”Kuch Na Bata Sakou Main”,
Mere Saamne Na Tum Bhi Koi Sawal Rakhna,
Wo hans K Keh Raha Tha
“Gham Bhi Tumhen Milen Gey”,
Lekin Na Hosla Tum Apna Nidhaal Rakhna,
Har Baat Ka Taqaaza Mujh Se Jo Kar Raha Tha,
Kya Us ka Haq Nahi Tha
“Mera Khayal Rakhna”

bohat socha nahin karte

Suno yu’n umar ghat’ti hai,
Bohat socha nahin karte,
Mohabbat karke aayina,
Bohat dekha nahin karte,
Yu’n hathon ki lakeeron ko,
Bohat chooma nahin karte,
Kisi dil men woh kehta hai,
Bohat thehra nahin karte,

Barson kai bad daikha .. ik shakhs dil Ruba sa…

Barson kai bad daikha .. ik shakhs dil Ruba sa…
Ab Zehen Main Nuhi Hay, Pur naam tha bhala sa…..

 

Abro khichay khichay sey ankhain jhuky jhuky si..
Batain ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa…

 

Khuabon main khuab uska, Yadon main yad uski…
Nendon main ghul gaya ho,Jaisay k Rat-jaga sa…

 

Pehle bhi log aye, kitnay hi zindagi main…
lekin woh har tarah say, oron say tha juda sa..
 
Agli Mohabaton ne, woh Namuradiyan di theen..
Taza Rafakaton se, Kuch Dil tha dara dara sa…

 

Kuch Ye k muddaton se ,Hum Bhi nahi they royee..

kuch zeher main bujha tha ehbaab ka dilasa…
 

Ab Sach kahain to yaro,Humko khabar nahi thi…
Ban jayi ga Kayamat, Ek Wakiya Zara Sa…

 

Taivar Bai-Rukhi k Andaaz Dosti k…
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha aashna sa..

ussay khe dou kay woh mjh ko ronay say mat rokay

Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…

Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..

Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou…
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……

Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa…
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay

Kabhi kitabon mein phool rakhna

Kabhi kitabon mein phool rakhna
Kabhi darakhton pe naam likhna
Hamein bhi hai yaad aaj tak woh
Nazar se harf-e-salaam likhna


Woh chaand chehare woh bahaki baatein
Sulagate din the mahakati raatein
Woh chhote-chhote se kagazon par
Mohabbaton ke payaam likhna

Gulaab chehron se dil lagana
Woh chupake chupake nazar milana
Woh aarazoon ke khvab bunana
Woh kissaa-e-naatamaam likhna

Mere nagar ki hasin fazaao
Kahin jo unke nishaan paao
Toh poochna yeh kaha base ho
Kaha hai unka qayaam likhna

Ga_ii ruton mein hamara
Bas ek hi toh yeh mashagala tha
Kisi ke chehare ko subah kehna
Kisi ki zulfon ko shaam likhna

Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi,

Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat ka Hasil 0 Hisaal kuch Bhi Nahi,

Wo Hum se khafa thy to Jan Nikal Gayi thi Hamari,
Hum Unse khafa Hain to Unko Malal kuch Bhi Nahi,

Is Qadar Dukh Diya Hai Na Jane kis khata Par Hamen,
0r Hum Bhi Sabar karte Gaye kiya Sawal kuch Bhi Nahi,

Uski khushi Mein Hansne Wale khas Hain Ab Us k Liye,
Dukh Mein Us k Sath Hain Hum Or Hamari Misal kuch Bhi Nahi

Advertisement