Ghazal SMS Messages Collection

Advertisement

Ghazal SMS

Mere Chaand Meri Ik Baat Suno

Mere Chaand Meri Ik Baat Suno
Mera Tum Bin Dil Veeran Suno
Her Subha Ki Ronak Tum Se Hai
Mere Raat K Roshan Chaand Suno
Tera Sab Se, Her Andaaz Alag
Tere Hansnay Se Ho Shaam Dhanak
Tere Bin Her Subha Shaam Suno
Mere Chaand Meri Ik Baat Suno
Ek Vaada Ker Lo Tum Mujh Se
Tum Ab Na Routho Gay Mujh Se
Ruk Jaye Na Meri Saans Suno
Mere Chaand Meri Ik Baat Suno..!

manzilein kya hai

Manzilein kya hai, raasta kya hai –

hausala ho toh faasla kya hai – manzilein kya hai,

kisase puchhu meri khata kya hai –

jab bhi chaahega chhin lega woh –

sab usika hai aapka kya hai –

Zameen pe chal na ska, aasman se b gya

Zameen pe chal na ska, aasman se b gya
Kaat k per ko parinda urran se b gya
Tbah kar geiy mujhe pakke makaan ki khawaish
Mein apne gaoon k kache makaan se b gya
Bhulana chaha tou bhulaane ki hudh kar di
Ab wo shakhs mere wehm-o-gumaan se b gya
Kisi k haath se nikla hua wo teer hoon mein
Jo nishaane ko chhoo na ska aur kamaan se b gya

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya
Jo Pori Na Ho Kabhi Aisi Aaas Chor Gaya
Yehi Karam Nawazi US Ki Mujh Pe Kam Hai Kia
Ka Khud To Door Hai Yadein To Pas Chor Gaya
Jo Khawhishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab
Mere Laboon Pe Wo Eik Lafz Kash Chor Gaya
Ye Mera Zarf Hai Ik Roz US Ne Mujh Se Kaha
Ka Aam Logon Mein Eik Tujh Ko Khas Chor Gaya
Baharon Se Mujhy Isi Liye To Nafrat Hai
Inhi Ruton Mein Mujhe WO Udass Chor Gaya


Advertisement

Bharosa Toot Janay Se Zara Pehle Bata Dena,

Bharosa Toot Janay Se Zara Pehle Bata Dena,
Mujhe Tum Azmanay Se Zara Pehle Bata Dena,
Kissi Helay Bahanay Se Zara Pehle Bata Dena,
K Mujhko Tum Bholanay Se Zara Pehle Bata Dena,
Zameen Ki Rait Pe Tumne Jo Muhabbat Likhi Thi,
Woh Tehreerein Mitanay Se Zara Pehle Bata Dena,
Mere Dilbar K Is Dil Par Main Rakh Lon Zabt Ka Pathar,
Suno Daman Churanay Se Zara Pehle Bata Dena,
Kissi BHi Mor Pe MOHSIN Bura Pao Agar Mujhko,
Zamanay KO Batanay Se Zara Pehle Bata Dena…..!!!

Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha ,

Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha ,
Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha,
Yaad karty hen kahan bhool k aaye hen usay
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha
Baat kya thi ye mujhe achhi tarah yaad nahi
Haan aap ka zikr b tha aur barri tafseel mein tha,
Koi paigham tha aankhon mein so aankhon mein raha,
Msla asal to paigham ki tarseel ka tha,
Is naye nuskhe mein takhreef hui ha warna,
Zikr mera bi kahin pyar ki injeel mein tha.

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

no one is mine

<~”NO ONE IS MINE”~>
———–
No one is mine
May be i m not fine,
.
No one cares 4me
No one has tears 4me,
.
No one belives me
Everyone says leave me,
.
if i ever cry
No one even asks why?
.
and if i ever die
No one will cry,
.
No one says take care
Everyone says i dont care,
.
When i need someone 4my self
i find no one 4help,
.
i dont know why?
May be talking to me they feel shy..!!
.
No one is mine
May be i m not fine..

Zikr ulfat per natija ye hua taqreer ka

Zikr ulfat per natija ye hua taqreer ka
Mein bhi chup hun,woh bhi chup aalm hai ek tasveer ka
Aate aate ruk gaya hai dam jo mujh dilgeer ka
Aah bhar ker muntazir hun ,aah ki taseer ka
Zulf-e-laila-e-shab-e-gham hoti jati hai daraaz
Aur e dil kya asar ho naala-e-shab geer ka
Tor ker pahlu ko nikla hai khadang naaz yun
Dil nahin ek doosra paikaan hai goya teer ka
Saaf baatin hain,hamara raaz-e-ulfat kya chupe
Dil mein aalm hai yahan aaina-e-tasveer ka
Subh tak dekhen dil-e-mahjoor ka kya haal ho
Qasd hai phir aaj mashq-e-naala-e-shab geer ka
Shama hai bazm-e-jahan mein kya adab-e-aamoz-e-ishq
Lab pe shikwa tak nahin be-rehmi-e-gul geer ka
Maut se kya saaz ker rakha hai us ne e nazar
Muddatein guzrin sabab khulta nahin takheer ka…!!!!

Roshni waaley mere naam se jaltey kyuon hain?

Log har mod pe ruk ruk ke sambhaltey kyuon hain?
Itna dartey hain to phir ghar se nikaltey kyuon hain?

Mein na jugnoon hoon diya hoon na koi tara hoon
Roshni waaley mere naam se jaltey kyuon hain?

Neend se mera tagalluf hi nahin barson sey
Khwaab aa aa key merey chhatt pe tahaltey kyuon hain?

Mod hota hai jawaani ka sambahlney ke liyey
Aur sab log yehin aa ke phisaltey kyuon hain?

Log har mod pe ruk ruk ke sambhaltey kyuon hain?
Itna dartey hain to phir ghar se nikaltey kyuon hain?

Meri talab se meray naseeb tak, Yeh maamla khuda ka tha.

=Meray qurb se meray wajood tak,
=Usay ikhtilaf to sada ka tha..
.
=Meray ghum se meray junoon tak,
=Yeh faasla bus ana ka tha.
.
=Meri zindagi se meri saans tak,
=Woh falsafa buss dua ka tha.
.
=Meri baat se Teray zikr tak,
=Koi silsila jo hawa ka tha.
.
=Meri haqiqat se meray khawab tak,
.=Woh bay-khabar intiha ka tha
.
=Meray veham se meray gumaan tak,
=Yeh marhala wafa ka tha..
.
=Meri talab se meray naseeb tak,
=Yeh maamla khuda ka tha.

Advertisement