Ghazal SMS Messages Collection

Advertisement

Ghazal SMS

KhizaN ke rang mein bhi bahaar abhi baqi hai

KhizaN ke rang mein bhi bahaar abhi baqi hai
Chirag-e-sahar hai par intazar abhi baqi hai
HameiN salam karo aye hawaadis-e-dauraN
Tumhaare saath hain phir bhi qarar abhi baaqi hai
Guzar chuka hai ummidoN ka qafla kab ka
Rah-e-yaqin per ab bhi ghubar abhi baqi hai
Hamein pukaar lo jab chaho ham milenge wanhi
Mile hain Khaak mein lekin Waqar abhi baqi hai

Muje Khonay Se Drta tha_

Meri Aankhon Pe Mrta tha_
Meri Batoon Pe Hansta tha_
Na Jane Shakhs tha Kaisa_
Muje Khonay Se Drta tha_
Muje Jab B Wo Milta tha_
Yehi Her Bar Kehta tha_
Suno!
Main Bhool Jaon to_
Agar Main Rooth Jaon to_
Kabi Wapis Na Aaon to_
Bhula Pao gay Sab Kuch kia_
Younhi Hanste Raho gay Kia_
Younhi Sajte Raho gay Kia_
Yehi Batein Hein Bas Us Ki
Yehi Yadein Hein Bas Us Ki
Muje Maloom Hai ltna_
Muje Wo Piyar Krta tha_
Muje Khonay Se Drta tha….

ay ishq tujhe khuda ka wasta

Ay ishq tujhe khuda ka wasta
ya yaar de ya maar de de

Uska Pyaar Nahi To Mujhe Kaza De De
Khuda Tu Meri Zindagi Ko Parda De

Me Bas Nahi Paya Jiske Dil Me
Us Saksh Ko Mere Dil Me Jagha De De

Gar Usko Chahna Khata Hai Meri
Phir Shouk Se Tu Mujhko Saza De De

Ya To Me Jee Saku Uske Bagair
Ya Mujhe Chahne Ki Use Wajha De De

Gar Ho Sake To Mujhe Kaafir Kar De
Nahi To Mujhko Tu Mera Khuda De De

Apni Surat Me Uska Chehra Nazar Aaye
Ya Khuda Mujhko Tu Aisa Aaina De De

Ya Bhuja De Chirag Meri Raaho Ke
Ya Mujhe Meri Manzil Ka Pata De De


Advertisement

wo aur hai kisi ka mere baad ho gaya

Shehr-E-Kheyal-O-Khwab Mein Abad Ho Gaya,

Itna Use Padha Ke Mujhe Yaad Ho Gaya,

Main Aaj Tak Hoon Jiss Ke Faraib-O-Hisar Mein,

Wo Aur Hai Kisi Ka Mere Baad Ho Gaya,

Apni To Sari Umer Aseeri Mein Katt Gayi,

Jiss Ne Bhi Haar Maan Li Azad Ho Gaya,

Pehle To Paniyon Se Rahi Guftagu Apni,

Do Chaar Qadam Hum bhi Teray Saath chalay hayn

Yeh Fakhar Toh Haasil hay , Buray hayn k Bhalay hayn
Do Chaar Qadam Hum bhi Teray Saath chalay hayn
Jalna toh Chiraghon ka Muqaddar hay Azal se
Yeh Dil k Kanwal hayn k Bujhay hayn na Jalay hayn
Thay kitnay Sitaray k Sirr e Shaam hi Doobay
Hungaam e Sehar Kitnay hi Khursheed Dhalay hayn
Jo Jhayl Gaye Hans k karri Dhoop k Tewar
Taaron ki Khunak Chaon mayn Woh Log Jalay hayn
Ek Shama Bujhayee Toh Kayee Aur Jala Leen
Hum Gardish e doraan se bari Chaal Chalay hayn

Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..

is dil main tum ghar kar gaye hoo

is Dil Main Tum Ghar Kar Gaye Hoo,
Is Ghar Kaa Kya Kare Abb,
Neendoo Main Tum Ghar Kar Gaye Hoo,
Khawaboo Kaa Kya Kare Abb,
Sawaloon Main Tum Ghar Kar Gaye Hoo,
Jawaabon Kaa Kya Kare Abb,
Har Dhadkan Main Tum Ghar Kar Gaye Hoo,
Auro Ka Kya Kare Abb

TUM BIN !

Aaj Kuch Kami si hai
TUM BIN !
.
Na Rung Na Roshni Hai
TUM BIN !
.
Waqt Apni Raftaar Se Chal Raha Hai,
.
Bas Dharkan Thami si hai TUM BIN !
.
Na Barish Hai Na Dhuwaan,
.
Phir bhi Dil may Tapish si Hai TUM BIN
.
Buhat Roka Hai Baadal Ko Barasney Se,
.
Phir bhi Aankhon May Nami si Hai “TUM BIN”

Me Hi Khud Ko Uski Zindagi Me Samjh Betha

Usne Mjhe Chaha Hi Nhi Me Chahat Samjh Betha

Uski Pal Bhar Ki Muskrahat Ko Pyar Samjh Betha

Wo To Hr Bat Pr Han Krti Thi Me Hi Iqrar Samjh Betha

Usne MjhSe Ziyada Ehmiyat Di apne Doston Ko

Me Uski Ye Ada Mazak Samjh Betha

Usne Kaha B Tha Koi or Hai Meri Zindagi Me

Me Hi Khud Ko Uski Zindagi Me Samjh Betha

bohat araam karna chahti hon

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun
Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun
Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun
Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun
Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun

Advertisement