Dar dar bhatakte hain armaan ki tarah,
Har koi milta hai hame mehmaan ki tarah.
Khushi ki ummeed kya rakhen iss duniya se,
Yeh to gham bhi deti hai toh ek ehsaan ki tarah.
Hindi Poetry SMS Messages Collection
Hindi Poetry SMS
Thokar hi insaan ko chalna sikhati hai
Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalna sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.
zindagi bhar ke liye tera sath nibhana chaty hai
Zindagi bhar ke liye tera sath Nibhana chahty hai
Tumhaari in ankho mai sada ke liye bas jana chahty hai
Chahty is dil ki, na jaane humse kaya kaya chahati hai
Najar bhar tumhe dekh kar,
Tum per mar jana chahty hai!!!!
Zubaan hai sirf ek zariya nahin
Zubaan hai sirf ek zariya nahin,
Jo aap shabdo ko samajh payenge,
Kabhi aankhon main jhaank kar dekhiye,
Hazaroon alfaaz khud ba khud bekhar jayenge…
Tere sang muskurane ki
Hakikat na puchh mere fasane ki
Tere jate hi badal gayi hai nazar zamane ki
Log puchhte hain main khush nahi
Kya karun meri to aadat thi
Tere sang muskurane ki
Neend aati nahi aur rat guzar jati hai
Kitini jaldi ye mulaqat guzar jati hai,
Pyaas bujhti nahi barsat guzar jati hai,
Apni yadoon se keh du na aaya karein,
Neend aati nahi aur rat guzar jati hai.
Ashq bankar aankho se na behna kabhi
Aaj keh diya fir na kehna kabhi,
meri nazro se dur tum na rehna kabhi,
khushi bankar labzo pe aaye ho tum,
Ashq bankar aankho se na behna kabhi
“MUJE TUM PAS PAO GE”
Muje bs itna kehna hai Kbi mai yad aun to
Kbi tanhai k lamhe Tume zyada satain to
Kbi koyal na bole to Or jugnu lot jain to
Kbi jab dil b bhr jae Koi jb sun na pae to
Agr sb dost sathi b Jo tum se ruth jain to
Kbi jb khud se lar lar kar Thakan se chur ho jao
Kbi chahte huwe b khud Akele ro na pao to
Apni ankhon ko band karna Muje awaz de dena
“MUJE TUM PAS PAO GE”
Hajoom-e-Dostan se…
“Hajom-e-
dostan” se jb
“kabhi” fursat
“milay”
Mohsin
Agr smjho
“munasib” to
“hmen” bi
“yaad” kr
“lena”.
Kuch paane ki aas
Sab kuch lootkar bhi hum apna,
Kuch paane ki aas lagaye baithe hai.
Seene mein sulag rahi hai armaan kayi,
Jinhe apna dost banaye baithe hai.
Jante hai tum saath nahi ho mere,
Phir bhi hum tumko apni dhadkan bana baithe hai.
Woh muskurate pal
Woh yaaron ki mehfil..
Woh muskurate pal..
Dil se juda hai apna beeta hua kal..
Kabhi zindagi guzarti thi hasne hasane mein..
Aaj waqt guzarta hai kaagaz ke note kamaane mein..
Tadapna dil ko padta hai
Kagaz bhi mere paas hai
Kalam bhi mere paas hai
Likhai bhi to kya likhe
Dil jo tumhare paas hai
Garmi is suraj se hoti hai
Tadapna zamin ko padta hai
Mohabbat aankho se hoti hai
Tadapna dil ko padta hai.
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage
Bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Bebas hai sapne haqiqat ke aage,
Koi ruki huwi dhadkan se puche ,
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.