inteha aaj ishq ki kar di –
aap ke naam jindagi kar di –
-inteha aaj ishq ki kar di-
tha andhera garib khaane mein –
aap ne aake roshani kar di –
denewaale ne unako husn diya –
aur ata mujhe aashiqi kar di –
Hindi Ghazal SMS
inteha aaj ishq ki kar di –
aap ke naam jindagi kar di –
-inteha aaj ishq ki kar di-
tha andhera garib khaane mein –
aap ne aake roshani kar di –
denewaale ne unako husn diya –
aur ata mujhe aashiqi kar di –
ÂÂ
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Gamon Se Bhara ,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Kya Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Kya Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi���
Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah
Suno Mohabbat Youn Nahi Hoti
Kisi Ka Naam Lene Se, Kisi Ko Thaam Lenay Se
Kisi K Pass Anay Se, Kisi K Door Janay Se
Mohabbat Ka Janam Nahi Hota
Jab Tak Dilon Ka Mi|an Nahi Hota
Suno! Mohabbat Youn Nahi Hoti
Wo sunta to me kehta, mujhe kuch or kehna tha
Wo pal bhar ko jo theher jata mujhe kuch or kehna tha
Kaha us ne suni meri, suni bhe unsuni kar di
Usey maloom tha itna, mujhe kuch or kehna tha
Ghalat fehmi ne baton ko barha dala youn hi warna
Kaha kuch tha, wo kuch samjha, mujhe kuch or kehna tha
Yun HUMKO satane ki ZARORAT kya thi,
Dil MERA jalane ki ZARORAT kya thi,
Jo NHI tha Ishq to keh DYA hota,
Dil TOR k jane ki ZARORAT kya thi,
Maloom THA agr ye KHUWAB toot jaaenge,
Nend m aakar uthane ki ZARORAT kya thi,
ISHQ PAR lagti rahengi HAR dor mai paabandi,
Hum ko MAJBOR banane ki ZARORAT kya thi,
Maan LON agr ye YAKTARFA mohabat thi,
Mujh ko DEKH kar muskurane ki ZARORT kya thi . . .
Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat ka Hasil 0 Hisaal kuch Bhi Nahi,
Wo Hum se khafa thy to Jan Nikal Gayi thi Hamari,
Hum Unse khafa Hain to Unko Malal kuch Bhi Nahi,
Is Qadar Dukh Diya Hai Na Jane kis khata Par Hamen,
0r Hum Bhi Sabar karte Gaye kiya Sawal kuch Bhi Nahi,
Uski khushi Mein Hansne Wale khas Hain Ab Us k Liye,
Dukh Mein Us k Sath Hain Hum Or Hamari Misal kuch Bhi Nahi
Yadain hain kuch aesi tere naam se wabasta,
Hr subha hai jese har sham se wabasta,
Bas tere tasawur se fursat hi nhi milti,
Rehti hain teri yadain har sans se wabasta,
Laakhon hain tamanain per ye dua hai,
Bas naam rahe mera tere naam se wabasta..
”YAADON” ko bhulane main kuch dair to lagti hai,
”ANKHON” ko sulany main kuch dair to lagti hai,
Kisi ”SHAKHS” ko bhula dena itna aasan nahi hota,
”DIL” ko samjhany main kuch dair to lagti hai,
Bhari ”MHAFIL” main jab koi achanak yaad aa jay,
Phir ”ASHK” chupany main kuch dair to lagti hai,
Jo shakhs ”JAAN” se b pyara ho achanak door ho jay,
Dil ko ”YAQEEN” dilany main kuch dair to lagti hai
Ay Waqt zara to tham ja
mujhe yaad “KISI ” Ko Kerne dy
Mujhe “Peyar” hai 1 “SUNG DIL” Say
Jo Koi “BAT” Mujhay na karne dy
Na Apnay :PAS” wo aany dy
Na Khud se “DOOR” Wo Jany dy
Na “DIL” ko apny Pas rkhy
Na our Kisi ka “HONY” dy
Her Waqt mujy “WO” Yad Aay
Phir “DIL” Se ik aawaz aay
ye Kaisi “CHAHAT” hai us ki
Jo “JEENY” de na :MERNY” dy
Chupke Se Jo Mangi Hai
Un Duaon Me Tm Ko Pana Hai
Tm Rooth K mujse Na Jao,
Muje Sath Tmhara Pana Hai
Tm Lot k Wapis Aajao
Muje “Hamsafar” Tumhein Bnana Hai.
teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai
shab ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai
dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha karti hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai
sham parte hi kisi shakhs ki yad
kucha-e-jan main sada karti hai
mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
hal jo tera ana??? karti hai
dukh hua karta hai kuch aur bayan
bat kuch aur hua karti hai
abr barse to inayat us ki
shakh to sirf dua karti hai
masla jab bhi utha chiragon ka
faisala sirf hawa karti hai
Wo muhabbat ki kuch aisi misaal rakhta hai…
Ke mujse ziada hi mera khayal rakhta hai…
Bina kahe hi mera har dard jaan leta hai..
Mujse le kar meri yaaden sambhal rakhta hai…
Hans ke taal jata hai meri sab talkh baaton ko..
Woh dil ko jeet lene main kamaal rakhta hai..