Hindi Ghazal SMS Messages Collection

Advertisement

Hindi Ghazal SMS

zakhmon ko gulaab likh rahay hain

Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain

Jaisay Koi Khwaab Likh Rahay Hain

Paani Ko Bana Ke Roshnaai SholoN Ka

Jawaab Likh Rahay Hain

Hum Apni Khushi Se Apne Tan Par Mausam

Ka Aazaab Likh Rahay Hain

Wo Saamnay Rakh Ke Chikna Kaaghaz

Baarish Ka Hisaab Likh Rahay Hain

Parhtay Hain Hum Tou Chehray

Aur Aap Kitaab Likh Rahay Hain

Tu khafa hai tua khafa sahi

Tu Khafa Hai Tua Khafa Sahi,
Magar Kuch Baat Tua Kar..

Mujhe Tujhse Mohbbat Hai,

Tujhe Nahi Tua Na Sahi,
Magar Mula-Qaat Tua Kar..

Teri Khamoshiya Meri Jaan Le Legi,
Bus Ek Baar Zaahir Apne Khyalaat Tua Kar..

Yu Khamoshiyo Se Mashley Hal Nhi Hua Karte,
Jo Dil Me Hai Tere Wo Sawalaat Tua Kar..

Mai Khud Ko Bdal Bhi Sakti Hun, Tere Liye,
Bas Ek Baar Byaa’n Apne Zazbaat Tua Kar..

Tu Khafa Hai tua Khafa Sahi,
Magar Kuch Baat Tua

Phir pyaar kisse tum kehte ho

Phir pyaar kisse tum kehte ho,
Khamoshi zuban ke lafzoon mein,
Kuch posheeda si baton mein,
Kuch chahat ki barsatein hai,
En baton ko ham mudat se sene mein chpai baithe hai,
Kuch payee bina kuch kho dena,
Ye pyaar mein ham ne seekha hai,
Suraj mein chand sitaroon mein,
Har shai mein tumhi ko dekha hai,
Dharkan mein bhi nagma bankar,
Sagar ki terha tum bethe ho,
Yeh pyaar nahi toh tum hi kaho,
Phir pyaar tum kisse kehte ho!


Advertisement

dheeray se sarakti hai Raat us ke aanchal ki tarha

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah

maayel e lutf , tbiyat kabhi aesi to na thi

Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi,
Aap ko mujh se mohabbat kabhi aesi to na thi,
Aaj be’waqt kidar aap nikal aaye hain,
Aap ko meri zaroorat kabhi aesi to na thi,
Haal per mere tawajoh, meri har baat per jee,
Ab jo hai mujh pe inaayat kabhi aesi to na thi,
Ab to har waqt hi maathey per shikan rehti hai,
Aayina dekhiye, surat kabhi aesi to na thi,
Kuch to hai aap ke andaaz-e-sitam ka baayes,
Aaye din shikwa shikayat kabhi aesi to na thi,
Hijar mein aap ne ik umar guzaari hai Naseer,
Beqarari ki yeh haalat kabhi aesi to na thi..

Kitne chiragh bujh gaye

Kitne din beet gaye hai dekho toh sahi,
Kitne chiragh bujh gaye hai dekho toh sahi.

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya,
Khizaan ek bar phir aagaye hai dekho toh sahi.

Kitni chahat se likhti thi mein naam tumhara,
Woh qalam hi tod diya hai zara dekho toh sahi.

Itni asaani say toh milti nahi nafrat bhi lekin,
Tumne hasil shuda pyaar thukra diya dekho toh sahi.

Anchal mein apne chupaye thay moti bohat,
Ab ke zabt tutne se saylab ravan hai dekho toh sahi.

Ana rokti hai mujhay har bar jhuknay se magar,
Kitni bar tumne jhukaya hai dekho toh sahi.

Faqeer ban kar tere kuchay mein aakar nasir,
Kitni aas se dekhte hai tumhain dekho toh sahi.

yaadon ko bhualne main kuch dair to lagti hai

”YAADON” ko bhulane main kuch dair to lagti hai,

”ANKHON” ko sulany main kuch dair to lagti hai,

Kisi ”SHAKHS” ko bhula dena itna aasan nahi hota,

”DIL” ko samjhany main kuch dair to lagti hai,

Bhari ”MHAFIL” main jab koi achanak yaad aa jay,

Phir ”ASHK” chupany main kuch dair to lagti hai,

Jo shakhs ”JAAN” se b pyara ho achanak door ho jay,

Dil ko ”YAQEEN” dilany main kuch dair to lagti hai

Dil ke lut jane ka

= Dil ke lut jane  ka izhaar zaruri to nahi,

=Ye tamasha sar-e-bazar zaruri to nahi !

=Mujhe tha ” ISHQ” teri rooh se or ab bhi hy,

=Jism se ho koi srokar zaruri to nahi !

=Main tujhko toot k chahoon to meri fitrat hy ,

=Tu bhi ho mera talabgar zaruri to nahi.

=Ae  sitam gar zara jhank meri ankhon may,

=Zubna se pyar ka izhaar zaruri to nahi,,,,,,,,

Andheri raat mein Jugnu….

Andheri raat mein Jugnu,
Sitaray dhoondtey rehna,,
Bhanwar mein sub pe hey wajib kinaray dhoondtey rehna,,
Kabhi Deewar se rishta kabhi dar thaam letey hain,,
Ajab Qismat ghareebon ki
Saharay dhoondtey rehna,,
Mohabbat karne walon k
Taqaazay bhe nirallay hain,,
Munaafa bakhshtay rehna
khasaray dhoondtey rehna,,
Tumhein jo Shoq he Qissay praeay parrhtay rehney ka,,
Kabhi Taareekh likhe gi Hmaaray, dhoondte rehna…

daikhtay hain yeh aziat gawar ker k

Daikhtay Hain Yeh Aziat Gawara Ker K..!!
!
Baaton Baton Mein Bicharnay Ka Ishara Ker K
Khud Bhi Roya Woh Bohut Hum Say Kinara Ker K
!
Sochta Rehta Hon Tanhai Mein Anjam-E-Khuloos
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobarah Ker K
!
Jagmaga Di Hain Teray Shehar Ki Galiyan Mein Nay
Apnay Her Ashk Ko Palkon Pay Sitara Ker Kay
!
Daikh Laitay Hain Chalo Hosla Apnay Dil Ka
Aur Kuch Rooz Teray Sath Guzara Ker K
!
Aik Hi Shehar Mein Rehna Magar Milna Nahin
Daikhtay Hain Yeh Aziat Gawara Ker K..!!

Hans ke taal jata hai

Wo muhabbat ki kuch aisi misaal rakhta hai…
Ke mujse ziada hi mera khayal rakhta hai…

Bina kahe hi mera har dard jaan leta hai..
Mujse le kar meri yaaden sambhal rakhta hai…

Hans ke taal jata hai meri sab talkh baaton ko..
Woh dil ko jeet lene main kamaal rakhta hai..

Advertisement