Hindi Ghazal SMS Messages Collection

Advertisement

Hindi Ghazal SMS

Tujhe kaise bhula doon

Lahoo se dil pe jo kheencha tha naqsh kaise mita doon,
Tu hi bata main tujhe apne dil se kaise bhula doon,

Meri hasti ko toh bas aas thi tere wajood ki,
Meri hasti ka jo haasil hai usse kaise bhula doon,

Meri tanhai mein jo saath mera chod na paya,
Shab-e-furqat ka jo hasil hai usse kaise bhula doon,

Talash e rahat e hayat mein jeevan guzar gaya,
Shaoor kho ke jo paya hai usse kaise bhula doon,

Wohi toh yaad thi shadaab woh hi yaad hai shadaab,
Reh gayi yaad woh shadaab usse kaise bhula doon.

Koi purani yaad

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,
Itni jalti dhoop mein yun kab tak ghoomo ge,
Aao chal ke beete dino ki chhaon mein bethe,
Uss lamhe ki baat karein ke jiss mein koi phool khila tha,
Uss lamhe ki baat karein jiss mein kisi ki aawaz ki chandi khanaki thi,
Uss lamhe ki baat karein ke jiss mein kisi ki nazon ke moti barsey thay,
Koi purani yaad mera rasta rok kar muj se kehtii hai,
Itni jalti dhoop main yun kab tak ghoomo ge.

main to mohabbat hoon

MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN’

Main hawa ka jhonka nahee

Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon

MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN’


Advertisement

zamanay se suna tha k

Zamanay se suna tha k muhabbat haar jati hai

Jo chahat ek tarfa ho wo chahat haar jati hai

Kahin par dua ka ik lafz bhi asar kar jata hai

Kahin barson ki ibadat haar jati hai

Mohabbat kab kisi ko dushmani ka dars deti hai

Mohabbat ki baazi mein adawat haar jati hai Humain

Judai ke bandi khane mein…

Judai ke bandi khane mein
Bas ab tu jine ka aik hi silsila hai jana!
Tumhari sochon mein dube rehna
Tumhare khwabon mein khoye rehna
Kisi terha tum ko dekhne ki sebeel karna
Tumhare kooche tak ane ka
koi bahana karna.
Har aate jate se khriyat ki naveed lena
Hawaon aur chand aur
Parindon pe rashk karna.
Mera ji ahwaal poochna hai
Tu yeh hai jana!
Ke jane kab se….
Judai ke bandi khane mein
Baraf ki seel pe tanha
Hararat-e-zindagi se kuch
Rabbt dhoondti hoon
Badan ko apne..
Tumhare hatoon se chuo rahi hoon!

tujhe dekhne ke baad

Main To Kal Sari Raat Jagta Raha,

Tujhe Dekhne Ke Baad,

Main Karwate Le Kar Machalta Raha,

Tujhe Dekhne Ke Baad,

Mere Dost Sare Apne Begane Ho Gye,

Tujhe Dekhne Ke Baad,

Sab Kehte Hai Log Main Badal Gaya,

Tujhe Dekhne Ke Baad

mera name badal dena!

ek lafz “MOHABAT” hai isy kar k dekho tum
berbad na hojao to mera name badal dena!
ek lafz “MUQADAR” hai is sey lar k dekho tum
har na jao to mera name badal dena!
ek lafz “WAFA” hai zamany mein nahi milta
kaheen se dhoond kar le aao to mera name badal dena!
ek lafz “AANSU”hai issy dil mein chupa kar dekho tum
aankhoon se na beh jaye to mera name badal dena!
ek lafz “JUDAI” hai isy seh k dekho tum
toot kar na “BIKHAR” jao to mera name badal dena!!!

nain wohi hoon jisay tum dost kaha kartay thay

Main wohi hoon jisay
tum dost kaha kartay
thay
ZAKHMI
Din mein so baar mera
naam liya kartay thay,
Aaj kya hay kiyoun mujh
say khaffa bhaithay ho,
Kya kissi aur ko Doost
bana bhaithay ho,
Faslay itnay to pehlay
na houa kartay thay,
Main wohi hoon jisay
tum doost kaha kartay
thay,
Tum ager bhool gaye
ho to koi baat nahi,
Zakhim to pehlay bhi
ess dil per laga kartay
thay,
Main wohi hoon jisay
tum doost kaha kartay
thay,
Dost kaha kartay thay.

Baghair sood k milna udhaar mushkil hai…!

Khizan raseeda chaman mein bahar mushkil hai,
Tmhary baad kahin Pyar, mushkil hai…
Kisi se is liye dishwar hai khafa hona,
Manaaney aaye ga hm ko bhi yaar, mushkil hai…
Ajeeb raaz-e-junoon tha Jo mery dil pe khula,
Teri gali mein bhi aa kar qaraar mushkil hai…
Hmara kon hai ehl-e-Jafa ki basti mein,
Miley ga hm ko koi gham gusaar mushkil hai….
Kahan chaly ho mohabat khareedny?
Baghair sood k milna udhaar mushkil hai…!

kyun yaad tum itna aate ho..?

Kyun yaad tum itna aate ho…?
Kyun hum ko tum tarpaate ho…?

Gum sum gum sum hain aaj sahar se hum…
Kyun itna hamain sataate ho…?

Aadi hogaye hain us sitam ke hum…
Jo aadatan humpe dhaate ho.

Tumhain khayaalon se gar nikaal bhi dain…
To khwaabon main aajaate ho.

Naqsh yaadon k mitati hy tou ro parti hai

Naqsh yaadon k mitati hy tou ro parti hai
Wo mery khat jo jalati hai tou ro parti hai

Khoon dakhta hai mere marte huey sapno ko
Khwab ankhon mein basati hai tou ro prti hai

Log puuchein jo kabhi gehri udasi ka sabab
Baat logon se chupati hai tou ro parti hai

Yaad karti hai mjhy toot kar us lamhy
Sham chehra jo dkhati hai tou ro parti hai

Wo bary zabt bary hosly wali larki
Gham ko tehreer banati hai tou ro parti hai …

December ab k aao tou

December ab k aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay
Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain
Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay
Aur us ko jo bhi pooron say
Nazar say choo gia pal bhar
Mehak utha!

December ab ka aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Jahan per rait k zarray sitaray hain
Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k ista’aray hain
Jahan dil woh samandar hay jis k kai kinaray hain!

December hum say na poocho hamaray shehar ki baabat
Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hay
Muhabbat barf jaisee hay yahan
Yahan dil k lahoo mein
Apni palkon ko dabo ker hum
Sunehray khawb buntay hain
Phir unhi khawbon mein jeetay hain
Unhi khawbon pe mertay hain
Dareeda rooh ko lafzon say seena gou nahee mumkin
Magar phir bhi!

December ab k aaou tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa!!!

Advertisement