Hindi Ghazal SMS Messages Collection

Advertisement

Hindi Ghazal SMS

Kabhi tum bhi nazar aao..!

Kabhi tum bhi nazar aao…

Subha say sham tak ham ko..

Buhat say log miltay hain…

Nigahon say guzartay hain..

Koi andaz tum jaisa..

Koi humnaam tum jaisa..

Magar tum hi nahi miltay..

Buhat baychain phirtay hain,

Baray baytab rehtay hain,

Dua ko hath uthtay hain,

Dua mein yeh hi kehtay hain,

Lagi hay bheer logon ki,

Magar is bheer mein “Saqi”

Kabhi tum bhi nazar aao..

Kabhi tum bhi nazar aao..!

“DECEMBER JAB BHi AATA HAi”

“DECEMBER JAB BHi AATA HAi”

Woh Pagli Phir Se
Beetay Mausam Ko
Yaad Karti Hai…
Puraanay Cards Parhti Hai
Ke Jiss Mein Usne Likha Tha
“Main Lautunga DECEMBER Mein”

Naye Kapray Banaati Hai,,
Woh Saara Ghar Sajaati Hai…
DECEMBER Ke Har Aik Din Ko
Woh Ginn Ginn Ker Beetaati Hai…

Joonhi 15 Guzarti Hai
Who Kuch Kuch Toot Jaati Hai,,
Magar Phir Bhi
Puraanay Albums Ko Khol Ker
Maazi Ko Bulaati Hai…

Nahin Maaloom Yeh Usko
Ke Beetay Waqt Ki Khushiyaan
Bohot Takleef Deti Hein,,
Mehez Dil Ko jalaati Hein…

Yoonhi Din Beet Jaate Hein…
DECEMBER Laut Jaata Hai…
Magar Who Khush’fehm Larki
Dobaara Se Calender Mein
DECEMBER Ke Maheenay Ke
Safhay Ko Maurh Ker Phir Se
DECEMBER Ke Sehar Mein Doob Jaati Hai…
Ke Aakhir Usne Likha Tha
“Main Lautunga DECEMBER Mein”

IsI Liye ‘Apne Aks’ Se b Doour Rehta Houn.,,!!!

Log Mujh Se Mil k Bichr Jate Hein,,
Is Liye Me Logon Se Door Rehta houn.,,

Mat Samjho K Aatey Nahi Adab_E_MulaQat Mujhe,,
Khalos Ka Banda houn Aadt Se Majboor Rehta Houn.,,

Jin Sy Barha Mera Rabta Shikwa Hi Mila,,
Ab Rabta Nahi Barhata Bohat Msroor Rehta houn.,,

Log Mujhe Kehte Hein
Be’Murawt
Mghroor Aur Khud Garzz,,

Kitne Achy Namo Sy Mashhoor Rehta Houn.,,

Hr Waqt Khoya Rehta Houn Khud Ki Talash Mein,,
Boht Thak Gaya Houn,,

IsI Liye ‘Apne Aks’ Se b Doour Rehta Houn.,,!!!


Advertisement

Lagta nahi ky e sath nibhay e ga dair tak

Lagta NahI Ky’E Sath Nibhay’E Ga Dair Tak
LekiN Wo Mujh Ko BhOoL Na Pay’E Ga Dair Tak
*****
Jo BhI Qareeb Aay’E Ga Us Ky’E, Usy’E ZurooR..
Wo Meri DaastaN Sunay’E Ga Dair Tak……..!
*****
DOondy’E Ga Wo Mujhy’E, Enhi GalYun MeIN Ek DiN..
DOondy’E Ga Aur Mujh Ko Na Pay’E Ga Dair Tak….
*****
MaIN SaahiLoN Ki Rait Py’E LiKhuN Ga Us Ka NaaM
Wo PaaNi Py’E Mera Naqsh Banay’E Ga Dair Tak….
*****
Kis Haal MeIN HOoN Us Sy’E Bicharny’E Ky’E Baad MeiN…?
SuN Kar Usy’E YaqeeN Na Ay’E Ga Dair Tak……..

GHAZAL..!

Mera sochna teri zaat tak,
Mari guftagoo teri bat tak.

Na tum milo jo kabhi mujhe,
Mera dhondna tujhe paar tak.

Main ne apna sab kuch gnwa diya,
Tari nafrton se pyar tak.

Kabhi fursaten jo milain to aa,
Mari zindagi k hisaar tak.

Ya jaan le mai kuch b nahi,
Tere pehle se tere baad tak..

Wo ek masoom si chahat…

(SHAYAD)

Wo ek masoom si chahat

Wo ek benam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa

Wo meri zeest ka qissa
Mujhe mehsus hota hey

Wo merey pas hy ab bhi
Wo jub jub yad ata hey

Nigahon mey samata hy
Zuban khamosh hoti hy

Magr ye ankh roti hy
Hum khud sey poch letey hein
Jisey hum yad krtey hein

Usay kiya piyar tha hum sey

Jo ab hum” soch letey hein
Usay b piyar tha Shayad

Isi “Shayad” sey wabasta hy ab to hr khushi meri

Yahi ek lafz “Shayad” ban gaya hy zindgi meri..

Mere wajood ki mujh mein TALASH chor gaya..

Mere wajood ki mujh mein TALASH chor gaya..
Jo pori na ho kabhi aisi AAS chor gaya..

Yehi KARAM NAWAZII us ki mujh pe kam hai kia..

K khud to door hai YADEIN to pas chor gaya..

Jo khawhishen thi kabhi HASRATON mein dhal gayi ab..

Mere LABOON pe wo ek lafz KASH chor gaya..

Ye mera zarf hai ik roz us ne MUJH se kaha

K aam logon mein ek TUJH ko KHAS chor gaya

BAHARON se mujhy isi liye to NAFRAT hai..

Inhi RUTON mein mujhe wo UDASS chor gaya.

Us ke bina ab chup chup rehna acha lagta hai;

Us ke bina ab chup chup rehna acha lagta hai;

Khamoshi se dard ko sehna acha lagta hai;

Jis hasti ki yad mein Aanso barastey hain;

Samne us ke kuch na kehna acha lagta hai;

Mil ker us se Bichar na jaon darta rehta hon;

Is liye bas door hi rehna acha lagta hai;

Janta hon k chahat main bas anso milte hain;

Kuch bhi ho ab is zehar ko pena acha lagta hai;

Ji chahey sb khushiyan lai kar us ko de don;

us ke pyar main sb kuch khona acha lagta hai..

Teri yaadoon ki mehak

Teri yaadoon ki mehak
Saath liye akser hum
Door khawaboo ke janzeere mein utar jate hain
Kyun ke main janti hon
Hum aur tum

Sirf khawaboo mein hi mil saktey hain
Maine socha hai iss baar tumhare humara
Aik aisi jaga utroongi
Aur tumhain apne paas bitha kar
Aankho mein aankhe daal kar
Bari himmat kar ke tum se keh dongi
Tumse keh dongi ke tum mere ho
Tum jo chaho toh
Meri ekterfa mohabbat ko sahara dedo
Zindagi yun toh bahut thori hai mohabbat ke liye
Tum jitna bhi pyaar mujhe de sako sara dedo
Kuch to bolo
Kuch to bolo
Kahin aisa na ho ke sehar hotey hi hum wapis uss duniya mein lout jaien
Bas yehi chund khiyalaat liye
Teri yadoon ki mehak saath liye
Akser hum door khawaboo ke janzeere mein uter jatey hain
Kyu ke hum aur tum sirf khawaboo main hi mil saktey hain

toota sitara dekh kr

Toota Sitara Dekh Kr…
“USY Hm YAD AYENGE”

Kisi Se Sath Jb Choota
“USY Hm YAD AYENGE”

Abi To Urh Raha Hy Wo Nai Chahat K Par Le Kr,

Uska Par Kbi Toota…
“USY Hm YAD AYENGE”

Usy Jis Pr Yaqeen Hy Aaj To Emaan Ki Had Tk,

Wohi Nikla Jo Kal Jhoota…
“USY Hm YAD AYENGE”

aaj dareechay main woh aana bhol gaya

Aaj dareechay main woh aana bhool gaya
main bhi apna diya jalana bhool gaya,
aaj mujhe bhi uski yad nahi aayi
woh bhi mere khuwab main ana bhool gaya,
bahaar ne jub se aana chore diya
mousam bhi apna phool khilana bhool gaya,
chalte chalte main usko gher lay aayi
woh bhi muj se apna hath chudana bhool gaya,
khat likha hai par khat ke koney par
woh apni ankh ka ansoo mitana bhool gaya
rooth ke dono aik jaga baithey rahey
main usko woh mujko manana bhool gaya

Advertisement