Advertisement

Barson kai bad daikha .. ik shakhs dil Ruba sa…

Barson kai bad daikha .. ik shakhs dil Ruba sa…
Ab Zehen Main Nuhi Hay, Pur naam tha bhala sa…..

 

Abro khichay khichay sey ankhain jhuky jhuky si..
Batain ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa…

 

Khuabon main khuab uska, Yadon main yad uski…
Nendon main ghul gaya ho,Jaisay k Rat-jaga sa…

 

Pehle bhi log aye, kitnay hi zindagi main…
lekin woh har tarah say, oron say tha juda sa..
 
Agli Mohabaton ne, woh Namuradiyan di theen..
Taza Rafakaton se, Kuch Dil tha dara dara sa…

 

Kuch Ye k muddaton se ,Hum Bhi nahi they royee..

kuch zeher main bujha tha ehbaab ka dilasa…
 

Ab Sach kahain to yaro,Humko khabar nahi thi…
Ban jayi ga Kayamat, Ek Wakiya Zara Sa…

 

Taivar Bai-Rukhi k Andaaz Dosti k…
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha aashna sa..

Advertisement