Advertisement

Dil mein dharkan ki tarah basana mujh ko

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujh ko
Apni nazron mein basa kar na girana mujh ko

Tum ko aankho mein tasawoor ki tarah rakhta hoon
Dil mein dharkan ki tarah tum bhi basana mujh ko

Baat karnae mein jo mushkil ho tumhein mehfil mein
Mai samajh jaonga nazron se batana mujh ko

Wada utna hi karo jitna nibha sakte ho
Khawab pura jo na ho woh na dikhana mujh ko

Apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena
Main toh aashiq hoon deewana na banana mujh ko

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujh ko
Apni nazron mein basa kar na girana mujh ko

Advertisement