Advertisement

Use jab yaad aye ga

Use jab yaad aye ga wo pehli bar ka milna to
pal pal yaad rakhe ga ya sub kuch bhool jaega,
Use jab yad aye ga gaye mausam ka har lamaha
to khud hi ro padega ya khud hi muskarae ga,
Use jab yad ayega k sawan laut aya hai
bula behje ga wo mujhay ya khud hi laut aye ga,
Use jab yad aye ga mein kaise muskarata tha ,
to mera naam likhe ga ya apna bhi mitaye ga,
Use jab yad aye ga, use jab yaad aye ga..

Advertisement