Advertisement

Kya tum bhi…

Kya tum bhi meri terha chalti hawaon ko
Choney ki koshish kartey ho
In fizaon mein jesey main
Tumhari mehak mehsos karti hoon
Weseyhi mujhko kya tum bhi
Apney gird youn patey ho

Kya tum bhi shabb ki tanhai mein
Meri tarah jagte rehtey ho
Aur jesey main tumhari yaad ke diye se
Roshni bakhairti rehti hoon
Ussi terah kya tum bhi
Apney andheron ko roshan kartey ho

Kya tum bhi chatt pe ja ke
Aftab ko pehroon taktey ho
Yeh sochtey ho kya meri terha
Ke aaj tumharey haan bhi chand nikla hoga
Chand kya tumhey bhi kya
Kuch kuch mujhsa dikhta hai
Jesey tum mujhko falak ka
Woh pyara chanda lagtey ho

Kya tumhari aankhein bhi ekdam
Kisi ek khayal se chamak uthti hain
Aur tum bhi akeley kharey muskatey ho
Kehti hain sabhi sahelian meri mujhe
Meri yeh aankhain tak ke
Main soi nahi kuch raaton se
Tumhare dost bhi kya tumko
Aisa hi kuch kehtey hain

Kya tumhara dil bhi har pal
Bechain tarapta rehta hai
Tum bhi kya agli molaqat tak
Har pal gharian gintey rehtey ho
Sabbar tumse bhi kya nahi hota
Inteezar meri terah kya tumko bhi
Mushkil aur kathin sa lagta hai

Kya tanha rah mein chalte chalte
Tumhare kadam bhi rokte hain
Tum bhi kya yeh sochte ho
Ke meri aur tumhari rahain
Kabh honge ek
Jabh tum hoge humsafar mere
Aur haathon mein hardam honge haath
Raston per chalte aise khayal
Aate hai kya tumko bhi

Kya tum bhi behayalli mein
Naam mera dohratey ho
Kya tumhara mann bhi mujhko
Pukarta hai bolata hai
Jesey mera mann tumhe sadain daita hey
Kagaz pe kya tum bhi meri terah
Apna aur mera naam likhte rehte ho

Kya tum bhi apne hathon mein mujhe
Dhondte ho talash karte ho
Muqaddar apna meri terah kya tum bhi
Sirf mujhko hi mante ho
Apni aankhon mein kya tum bhi
Meri hi tasveer bas paate ho
Har shaks jese mujhko tumsa dikhta hai
Tumhe bhi kya in logon mein
Main hi main sirf dikhti hoon

Kya tum meri aawaz soon kar ghabratey ho
Jesey main tumhe soon kar sharmati hoon
Tumhari ek ek aahat par
Dil taiz taiz dharakta hai
Kya mujhko aata dekh kar
Tumhari sansain bhi barti hain

Kya tumhey bhi koi aur nahi bhata
Mera hi kheayal tumhe kya sirf aata hai
In phoolon mein en kalliyon mein
In rangbarange haseen nazaron mein
Jese mujhe tumhari jhalak dikhti hai
Mujhe un main kya tum bhi patey ho

Kya tum bhi younhi bethe bethe
Khwabon ki duniya mein kho jate ho
Khuli aankhon se mein tu aey dost
Tumhare sapne dekhti hoon
Tum bhi kya meri duniya
Basate aur sawarte ho

Kya tum bhi aisi shairana baatein karte ho
Kya tumhe bhi pyaar mohabbat ke afsane
Sabh sache ache lagte hai
Kya tumhey meri yeh sabh baatein
Karna achi lagti hai

Kya tumhey mera pyaar sacha lagta hai
Kya tum doge jawab mere sawalon ka
Kya tum mujhe sabh sach sach batlaoge
Kya tumhe tumhari aafi
Kuch deewani pagal lagti hai

Advertisement