Advertisement

Main jaan bhi fida karo

Bada kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!
Ye zindagi ka fasla mita sako to sath do!!

Bade fareb khaoogi, bade sitam utaoogi!
Ye umar bhar ka sath hai nibha sako toh sath do!!

Jo tum kaho, ye dil toh kya, main jaan bhi fida karo!
Jo main kaho, bus ek nazar, luta sako toh sath do!!

Hazar imtehan yahan, hazar azmaeish!
Hazar dukh, hazar gham, utha sako toh sath do!!

Main ek gareeb be nava, main ek fakir be sada!
Meri nazar ki ilteja jo pa sako toh sath do!!

Ye zindagi yahan khushi gamoon ke sath sath hain!
Rula sako toh sath do, hansa sakho toh sath do!!

Advertisement