Advertisement

Aisa kabhi na karna

Tum ruth jao mujhse
Aisa kabhi na karna

Main ek nazar ko tarsoon
Aisa kabhi na kerna

Main pooch pooch haroon
So so sawal kar ke

Tum kuch jawab na do
Aisa kabhi na kerna

Mujhse hi milke hansna
Mujhse hi milke rona

Mujhse bicher ke jee lo
Aisa kabhi na kerna

Tum chand ban ke rehna
Main dekhta rahoon ga

Kisi roz tum na niklo
Aisa kabhi na kerna

Tum chalay jao jab bhi
Tu dekhoon tumhara rasta

Tum loat ke na aao
Aisa kabhi na karna

Advertisement