Advertisement

Chand ko chandani pasand hai

Kyun kehte ho isa marz ki dawa nahi
Zulfon se uljhana ab khel nahi
Kareeb aakar door ho jao yeh berukhi bhi toh sahi nahi
Tere dar par aaye hai Yun muh modna sahi nahi!

Tumko dekha hi nahi,
Yun nazaron se mile nazar yeh ab mumkin toh nahi
Par jaane kuyn pukar tumhari lautkar aati hai
Intezaar ki ghadiyan kyun ab beganon si nahi

Din beet jayenge zamana badal jayega
Mausum aayenge aur apna sehra pehnayenge
Mat chedo geet pyaar ke
Warna hum doob jayenge

Chand ko chandani pasand hai,
Sagar ko laherien,
Phaisla yun toh mushkil hai ki kisko hum apna dost kahen
Dost ko dosti pyaari hai.. Toh ab guroor karke hum karen kya

Aey chand tujhe chandani ki kasam
Tujhe pukarte sagar ki lehron ka vasta
Chand sa chehra purnima sa khila
Hothon ki lali kya kehti hai bata Tu na ja.. Na ja…

Teri mehfil mein ankhiyan becchaiyen kahde hai,
Saamne ho tum.. Chehra chupayen khade hai!
Tum jo dard bibhana jano
Toh hum wafa tum sang kar chalein hai!

Advertisement