Poetry SMS Messages Collection

Advertisement

Poetry SMS

Gam hi dushman hai mera

Puchte ho toh suno kaise basar hoti hai
Rat khairat k sadqe ki sahar hoti hai

Sans bharne ko toh jina nahi kehte ya rab
Dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai

Jaise jagi hui ankhon main chubhen kanch ke khwab
Raat is tarah diwanon ki basar hoti hai

Gam hi dushman hai mera gam hi ko dil dhundta hai
Ek lamhe ki judai bhi agar hoti hai

Ek markaz ki talash ek bhatakti khushbu
Kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai

mohbat adhori hay

SUNO!
Zindgi apni hans kar basar karna
Nafraton k raste pe na sfar krna

SUNO!
Wafa na ho to mohbat adhori hay
Mohabt k safar me wafa ki fikar karna

SUNO!
Zamana jitna b ho hamdard tumhara
Zamane ko na sharike safar karna.

SUNO!
Mohabat har kisi ka mukadar nahi hoti
Mile jo mohabat to is ki kadar karna.

Meri kabar pe tum na aana

Chaman ki baharon mein tha aashiyana
Na jane kahan kho gaya woh zaman
Tumhein bhulane ki main koshish karunga
Ye vaada karo ke na tum yaad aana
Mujhe mere mitne ka gham hai tho yeh hai
Tumhein bewafa keh raha hai zaman
Khudara meri kabar pe tum na aana
Tumhein dekh har shaq karenga zaman

you are all of my beautiful dreams

You are all of my beautiful dreams,
put together, and rolled into one.
You’re the moon and stars in my sky,
and the light of my morning sun.
.
.
You’re my first thought in the morning,
and my very last thought each night.
Dreams of you hold me through my day;
bring comfort to me, until morning light.


Advertisement

Perfect valentine gift

A young woman was taking an afternoon nap.
After she woke up, she told her husband, “i just dreamed that you gave me a pearl necklace for valentine’s day.
What do you think it means?”

“You’ll know tonight”, he said.
That evening, the man came home with a small package and gave it to his wife.
Delighted, she opened it only to find a book entitled “The meaning of dreams”.

Anurag Gupta

Har ek zazbat ko juban nahi milti,
Har ek aarzoo ko dua nahi milti,
Muskaan banaye rakho to duniya hai sath,
Aansoon ko to aankhon mein bhi panah nahi milti……….

Aashiki me kiya aapka intezar

My karta hu mohabbat aapse dil me anjam-e-fiza buland karke
Fikr hai to bas itni k dil tham na jaye apke ikhraar pe!

Mohabbat ke har arse me kiya tadapkar har lamha yaad apko
Fir bhi is wafa ke ba-as aapne bhula diya humko?

Aashiki me kiya aapka intezar maine ek arse ka
Duniya walon ke mutabiq woh arsa meri aashiki se meri maut tak tha!

Milte woh is tarah hai

Woh aaj bhi hamse milkar muskuratein hai,
Kisi mod pe rukkar apna haq jatatein hai,
Hamne to unki ek jhalak pane ki umeed bhi nahi ki thi,
Par milte woh is tarah hai
Ki sari batein jubaan mein hi rehai jatein hain.

Advertisement