Dil se chaha tha jise,
Woh mujhse ab door hogaya,
Usko bhol ne ki koshis karni chahi,
Toh maut ne mujhe gale laga liya.
Poetry SMS Messages Collection
Poetry SMS
Mohabbat karo toh itni ke nafrat na rahey…
Mohabbat karo toh itni karo ke had na rahey
Intezar karo toh itni ke waqat na rahey
Believe karo toh itni ke shak na rahey
Nafrat karo toh itni ke mohabbat na rahey
Mohabbat karo toh itni ke nafrat na rahey…
Kisi se itni mohabbat na karo
Jaam se itni nafrat na karo ke,
Kabhi peena pade toh pi na sako,
Kisi se itni mohabbat na karo ke,
Kabhi tanha jeena padhe toh jee na sako…
Dil mein utara hai
Woh bholta hai na dil mein utara hai
Mujhe hamesha mohobbat ka nasha hai
Main toh uska lamha-e-mojud hu
Woh shaks fuzul waqt samaj kar guzarta hai.
Phir aag ka darya hai aur doob ke jana hai
Usne Kaha…
Ishq nai asaan bas itna samajh lijiye,
Aag ka darya hai aur doob ke jana hai.
Maine Kaha…
Masoom Mohabat ka bas itna sa fasana hai,
Kaghaz ki haveli aur barish ka zamana hai,
Kya shart-e-mohabat, Kya shart-e-zamana hai,
Uss par utarne ki umeed bohat kam hai,
Kashti bhi purani aur toofan ko bhi ana hai,
Samjhe ya na samjhe woh andaaz mohabat ke,
Aik shaks ko ankhon se aik shair sunana hai,
Bholi si ada aaj phir ishq ki zad main hai,
Phir aag ka darya hai aur doob ke jana hai.
Humne ki mohabbat toh haal hua aisa
Mohabbat ka kya hai kabhi bhi ho jati hai,
Har kisi ki aankho mein bas nami chod jati hai,
Humne ki mohabbat toh haal hua aisa,
Taaro ke beech ek shaam guzarta ho jaisa.
Phir wo hi purana afsanaa
Phir wo hi purana afsana likh raha hoon,
Tutey dil ka fasaana likh raha hoon ,
Jo hai dil mai mere uuse kahani banakar,
ek kitab likh raha hoon
Kuch khokar kuch payenge
Ye waqt lamhe gujar jayenge,
Zindagi mein kuch khokar kuch payenge,
Aaj hum yahan hai kal dur chale jayenge,
Par wada raha roz inbox mein jarur aayenge.
Dil ek mandir hai
Dil ek mandir hai,
Tum uski murat ho.
Kasam khuda ki,
Tum bahut khoobsurat ho!!
Na jee sakenge door reh kar aapse
Haan saach hai darte hai hum,
Magar aap se nahi aapke dur jane ke khayal se,
Na jee sakenge door reh kar aapse
Humse door jane ka khayal bhi na lana apne dil mein
Duniya se aankh nahi laga paoge tum.
Hum khud ko bhul jate
Bhulna hota agar aasan toh,
Hum khud ko bhul jate,
Uthkar iss duniya se,
Aapki ankhon se baras jate.
Suraj ka zamin se milan
Dekha hai suraj ka zamin se milan,
Milne ke liye woh khud ko dubo deta hai,
Par uski judai mein aasman,
Duniya ko andhere mein sama deta hai.
Muhabbat…
Muhabbat jazba-e-esar se parwan charti hai
Khalos-e-dil na ho tu dosti se kuch nahi hota…